Kya Nazar Ki Hushyari KHud-asir-e-masti Hai

kya nazar ki hushyari KHud-asir-e-masti hai

jo nigah uThti hai mahw-e-KHud-parasti hai

baadalon ko takta hun jaane kitni muddat se

ek bund pani ko ye zaban tarasti hai

ek janam ke pyase bhi sair hon to hum jaanen

yun to rahmat-e-yazdan chaar-su barasti hai

raat gham ki aai hai hoshiyar dil walo

dekhna hai ye nagin aaj kis ko Dasti hai

shayad aaj aaina dil ka TuT hi jae

phir nazar ki virani zindagi pe hansti hai

main ne apni palkon par gham-kade sajae hain

aarzu ke matam mein sogwar hasti hai

ab ba-tabish-e-aKHtar tirgi hai afzun-tar

raushni bhi bik jae ye kamal-e-pasti hai

(830) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Nazar Ki Hushyari KHud-asir-e-masti Hai In English By Famous Poet Hanif Fauq. Kya Nazar Ki Hushyari KHud-asir-e-masti Hai is written by Hanif Fauq. Read famous Poem Kya Nazar Ki Hushyari KHud-asir-e-masti Hai for youth and Student by Hanif Fauq. Free Download Kya Nazar Ki Hushyari KHud-asir-e-masti Hai in PDF.