Kaun Hai Jo Na Hua Bandish-e-gham Se Aazad

kaun hai jo na hua bandish-e-gham se aazad

juz mere kaun raha dahr mein nakaam-e-murad

saunp dun kyun na ba-daman-e-talatum kashti

kis ki kab sunte hain be-rahm kinare fariyaad

mujh se mat chhin ye jagir-e-gham-o-ranj nadim

hai faqat is se hi kaunain-e-dil-o-jaan aabaad

dil ke gulzar mein khil uThti hai daghon ki kali

jab bhi aati hai kisi gul-ruKH-o-gul-fam ki yaad

ab na mazi hi ka gham hai na to farda ki KHushi

KHana-e-dil ko kiya tum ne kuchh aisa barbaad

ek lamha bhi masarrat ka mayassar na hua

jaane kis waqt mohabbat ki rakhi thi buniyaad

gham ghalat karne ko aaya tha tere dar pe 'jamal'

kya KHabar thi ki nahin tu bhi ghamon se aazad

(672) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaun Hai Jo Na Hua Bandish-e-gham Se Aazad In English By Famous Poet Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Kaun Hai Jo Na Hua Bandish-e-gham Se Aazad is written by Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Read famous Poem Kaun Hai Jo Na Hua Bandish-e-gham Se Aazad for youth and Student by Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Free Download Kaun Hai Jo Na Hua Bandish-e-gham Se Aazad in PDF.