Wo Pech-o-KHam Jahan Ki Har Ek Rahguzar Mein Hai

wo pech-o-KHam jahan ki har ek rahguzar mein hai

KHud karwan-e-waqt bhi ab tak safar mein hai

yaro kahan wo jalwa-e-shams-o-qamar mein hai

jo nur jo ziya mere dagh-e-jigar mein hai

hai wada-e-visal-e-sanam ki wo sarKHushi

har shai hasin ab meri fikr-o-nazar mein hai

manzil baghair tai kiye leta nahin hun chain

ye dam ye hausla hi kahan rahbar mein hai

kuchh gham nahin ki ho meri hadd-e-nazar se dur

lekin tumhaari yaad to qalb-o-jigar mein hai

har bahr har zamin mein kahta hun KHub sher

kab ye kamal ab kisi ahl-e-hunar mein hai

jis se ayan ho dahr ka ehsas-e-be-ruKHi

aaina wo 'jamal' hamari nazar mein hai

(576) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Pech-o-KHam Jahan Ki Har Ek Rahguzar Mein Hai In English By Famous Poet Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Wo Pech-o-KHam Jahan Ki Har Ek Rahguzar Mein Hai is written by Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Read famous Poem Wo Pech-o-KHam Jahan Ki Har Ek Rahguzar Mein Hai for youth and Student by Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Free Download Wo Pech-o-KHam Jahan Ki Har Ek Rahguzar Mein Hai in PDF.