Aaine Se Na Daro Apna Sarapa Dekho

aaine se na Daro apna sarapa dekho

waqt bhi ek musawwir hai tamasha dekho

kar lo bawar koi laya hai ajaib-ghar se

jab kisi jism pe hansta hua chehra dekho

chahiye pani to lafzon ko nichoDo warna

KHushk ho jaega afkar ka pauda dekho

shahr ki bhiD mein shamil hai akela-pan bhi

aaj har zehn hai tanhai ka mara dekho

wo jo ek hasrat-e-be-nam ka saudai hai

us ko patthar ne baDi dur se taka dekho

had se baDhne ki saza deti hai fitrat sab ko

sham ko kitna baDha karta hai saya dekho

ab to sar phoD ke marna bhi hai mushkil 'najmi'

hae is daur mein patthar bhi hai mahnga dekho

(749) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaine Se Na Daro Apna Sarapa Dekho In English By Famous Poet Hasan Najmi Sikandarpuri. Aaine Se Na Daro Apna Sarapa Dekho is written by Hasan Najmi Sikandarpuri. Read famous Poem Aaine Se Na Daro Apna Sarapa Dekho for youth and Student by Hasan Najmi Sikandarpuri. Free Download Aaine Se Na Daro Apna Sarapa Dekho in PDF.