Ishq Ko Pas-e-wafa Aaj Bhi Karte Dekha

ishq ko pas-e-wafa aaj bhi karte dekha

ek patthar ke liye ji se guzarte dekha

past ghaaron ke andheron mein jo le jati hain

wo uDanen bhi to insan ko bharte dekha

jabhi lai hai saba mausam-e-gul ki aahaT

barg afsurda hue shaKHon ko Darte dekha

teri dahliz pe gardish ka guzar kya mani

tujh ko jab dekha hai kuchh bante sanwarte dekha

be-sada hi sahi par sang-e-sifat hain lamhe

un ki aaghosh mein har shai ko bikharte dekha

jo bhi biti sar-e-farhad pe biti 'najmi'

kisi 'parwez' ko teshe se na marte dekha

(683) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ko Pas-e-wafa Aaj Bhi Karte Dekha In English By Famous Poet Hasan Najmi Sikandarpuri. Ishq Ko Pas-e-wafa Aaj Bhi Karte Dekha is written by Hasan Najmi Sikandarpuri. Read famous Poem Ishq Ko Pas-e-wafa Aaj Bhi Karte Dekha for youth and Student by Hasan Najmi Sikandarpuri. Free Download Ishq Ko Pas-e-wafa Aaj Bhi Karte Dekha in PDF.