Mazhab-e-ishq Mein Shajara Nahin Dekha Jata

mazhab-e-ishq mein shajara nahin dekha jata

hum parindon mein qabila nahin dekha jata

lashkar-e-KHwab kisi taur utar aankhon mein

raat bhar nind ka rasta nahin dekha jata

surma bap ne talwar bhi girwi rakh di

hath mein bachchon ke kasa nahin dekha jata

tum mere yar ho kaise main hara dun tum ko

mujh se dushman ko bhi paspa nahin dekha jata

is zamane ko faqat maut nazar aati hai

Dubne wale ka jazba nahin dekha jata

ai azizo! mujhe miTTi ke hawale kar do

mujh se ab jism ka malba nahin dekha jata

jab se dariya pe hua pyas ka qabza 'hashim'

lab-e-dariya koi pyasa nahin dekha jata

(1570) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mazhab-e-ishq Mein Shajara Nahin Dekha Jata In English By Famous Poet Hashim Raza Jalalpuri. Mazhab-e-ishq Mein Shajara Nahin Dekha Jata is written by Hashim Raza Jalalpuri. Read famous Poem Mazhab-e-ishq Mein Shajara Nahin Dekha Jata for youth and Student by Hashim Raza Jalalpuri. Free Download Mazhab-e-ishq Mein Shajara Nahin Dekha Jata in PDF.