Wo Sab Mein Hum Ko Bar-e-digar Dekhte Rahe

wo sab mein hum ko bar-e-digar dekhte rahe

hum un ka intiKHab-e-nazar dekhte rahe

daman bacha ke ashkon se wo to nikal gae

hum der tak zamin par guhar dekhte rahe

hum be-niyaz baiThe hue un ki bazm mein

auron ki bandagi ka asar dekhte rahe

aai sahar to aur baDha bijliyon ka zor

shab bhar hum intizar-e-sahar dekhte rahe

shoalon ki zad mein the sabhi kis ko pukarte

har samt KHirmanon mein sharar dekhte rahe

kyun-kar sambhaalte hamein wo naKHuda jo KHud

sahil ki aafiyat se bhanwar dekhte rahe

manzil ki dhun mein aabla-pa chal khaDe hue

aur shahsawar gard-e-safar dekhte rahe

(912) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Sab Mein Hum Ko Bar-e-digar Dekhte Rahe In English By Famous Poet Hashim Raza Jalalpuri. Wo Sab Mein Hum Ko Bar-e-digar Dekhte Rahe is written by Hashim Raza Jalalpuri. Read famous Poem Wo Sab Mein Hum Ko Bar-e-digar Dekhte Rahe for youth and Student by Hashim Raza Jalalpuri. Free Download Wo Sab Mein Hum Ko Bar-e-digar Dekhte Rahe in PDF.