Karzar-e-zindagi Mein Aise Lamhe Aa Gae

karzar-e-zindagi mein aise lamhe aa gae

azm-e-mohkam rakhne wale waqt se ghabra gae

dusron ke waste jite rahe marte rahe

KHub-sirat log the raaz-e-mohabbat pa gae

bagh par bijli gire ya nazr-e-gulchin ho rahe

aah ab sochon ke dhaare is nahaj par aa gae

is jhulasti dhup ne aaKHir kahan pahuncha diya

chhanw ki KHatir pas-e-diwar-e-zindan aa gae

wae mahrumi ki bas hum aasman takte rahe

yun to baadal ghir ke aae hasraten barsa gae

dil ki shadabi ki KHatir dil ki taskin ke liye

'rizwi'-e-muztar kabhi makka kabhi mathura gae

(831) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karzar-e-zindagi Mein Aise Lamhe Aa Gae In English By Famous Poet Hayat Rizvi Amrohvi. Karzar-e-zindagi Mein Aise Lamhe Aa Gae is written by Hayat Rizvi Amrohvi. Read famous Poem Karzar-e-zindagi Mein Aise Lamhe Aa Gae for youth and Student by Hayat Rizvi Amrohvi. Free Download Karzar-e-zindagi Mein Aise Lamhe Aa Gae in PDF.