Aansu Ko Apne Dida-e-tar Se Nikalna

aansu ko apne dida-e-tar se nikalna

lagta hai mehman ko ghar se nikalna

sukhe hue shajar mein lahhu to nahin hai KHushk

konpal koi numu ki shajar se nikalna

is yaKH-zada faza mein gar uDne ka qasd hai

be-his ruton ki barf ko par se nikalna

jis subh ke jilau mein shabon ka hujum ho

kirnon ko aise dam-e-sahar se nikalna

jis se shab-e-hayat ka sannaTa TuT jae

aawaz aisi saz-e-hunar se nikalna

sab ka nahin ye ahl-e-basirat ka kaam hai

gahri KHabar bhi sathi KHabar se nikalna

rasta kaThin ho lakh na hona 'hazin' malul

pahlu KHushi ka ranj-e-safar se nikalna

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aansu Ko Apne Dida-e-tar Se Nikalna In English By Famous Poet Hazin Ludhianvi. Aansu Ko Apne Dida-e-tar Se Nikalna is written by Hazin Ludhianvi. Read famous Poem Aansu Ko Apne Dida-e-tar Se Nikalna for youth and Student by Hazin Ludhianvi. Free Download Aansu Ko Apne Dida-e-tar Se Nikalna in PDF.