Hairan Sara Shahr Tha Jis Ki UDan Par

hairan sara shahr tha jis ki uDan par

panchhi wo phaD phaDa ke gira saeban par

shayad usi se zehan ka jangal mahak uThe

lafzon ke gul khilaiye shaKH-e-zaban par

kis dil ki rakh juzw-e-rag-e-sang ho gai

suraj-mukhi ka phul khila hai chaTan par

ek din use zamin ki kashish khinch laegi

kab tak rahega tera KHayal aasman par

aawaz ki mahak na kabhi qaid ho saki

pahre lage hazar gulon ki zaban par

(953) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hairan Sara Shahr Tha Jis Ki UDan Par In English By Famous Poet Hazin Ludhianvi. Hairan Sara Shahr Tha Jis Ki UDan Par is written by Hazin Ludhianvi. Read famous Poem Hairan Sara Shahr Tha Jis Ki UDan Par for youth and Student by Hazin Ludhianvi. Free Download Hairan Sara Shahr Tha Jis Ki UDan Par in PDF.