Is Ka Nahin Hai Gham Koi, Jaan Se Agar Guzar Gae

is ka nahin hai gham koi, jaan se agar guzar gae

dukh ki andheri raat mein hum bhi charagh dhar gae

shan-o-shikoh kya hue, qaisar-o-jam kidhar gae

taKHt ulaT ulaT gae, taj bikhar bikhar gae

fikr-e-maash ne sabhi jazbon ko sard kar diya

saDkon pe din guzar gaya ho ke niDhaal ghar gae

lipTe rahe tamam raat phul ki pattiyon ke sath

dhup paDi jo phul par qatre farar kar gae

tundi-e-sail-e-waqt mein ye bhi hai koi zindagi

subh hui to ji uThe, raat hui to mar gae

gard-e-safar mein kho gae, aise hazaron rah-rau

rah mein jo Thahar gae, aandhiyon se jo Dar gae

phir bhi kisi rais ke dil ki tarah hai chashm tang

aap phire hain mulk mulk aap nagar nagar gae

khil ke rahenge dekhna chaar-su raushni ke phul

raat ke dasht ki taraf naqsh-gar-e-sahar gae

KHak mein teri mil gai 'faiz' ke jism ki ziya

ab to dayar-e-mahwashan qarz tamam utar gae

(837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Ka Nahin Hai Gham Koi, Jaan Se Agar Guzar Gae In English By Famous Poet Hazin Ludhianvi. Is Ka Nahin Hai Gham Koi, Jaan Se Agar Guzar Gae is written by Hazin Ludhianvi. Read famous Poem Is Ka Nahin Hai Gham Koi, Jaan Se Agar Guzar Gae for youth and Student by Hazin Ludhianvi. Free Download Is Ka Nahin Hai Gham Koi, Jaan Se Agar Guzar Gae in PDF.