Mawad Kar Ke Faraham Chamakti SaDkon Se

mawad kar ke faraham chamakti saDkon se

saja raha hun ghazal ko nae KHayalon se

chhupi hai un mein na jaane kahan ki chiKH-pukar

buland hote hain naghme jo roz mahlon se

nazar na aai kabhi phir wo ganw ki gori

agarche mil gae dehat aa ke shahron se

guzar dete hain umren wo ghup-andheron mein

laTak rahe hain jo bijli ke unche khambon se

samundar ab tu unhen aur be-qarar na kar

guzar ke aai hain lahren hazar nahron se

tulu hoga abhi koi aaftab zarur

dhuan uTha hai sar-e-sham phir charaghon se

'hazin' ye shoala-e-taban kabhi nahin bujhta

main kyun hayat ko tashbih dun hababon se

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mawad Kar Ke Faraham Chamakti SaDkon Se In English By Famous Poet Hazin Ludhianvi. Mawad Kar Ke Faraham Chamakti SaDkon Se is written by Hazin Ludhianvi. Read famous Poem Mawad Kar Ke Faraham Chamakti SaDkon Se for youth and Student by Hazin Ludhianvi. Free Download Mawad Kar Ke Faraham Chamakti SaDkon Se in PDF.