Phir Faza Dhundla Gai Aasar Hain Tufan Ke

phir faza dhundla gai aasar hain tufan ke

kanpte hain phul kamre mein mere gul-dan ke

chal rahe hain dil mein naKHlistan ka arman liye

hum musafir zindagi ke tapte registan ke

sail-e-gham rakhta hai yun mere iradon ko jawan

jis tarah sailab mein phalte hain paude dhan ke

toD dega ek na ek din ye tilism auham ka

saf dete hain pata tewar nae insan ke

dosto jis dam utar jata hai gandum ka KHumar

zehn ki shaKHon se uD jate hain panchhi dhyan ke

(948) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Faza Dhundla Gai Aasar Hain Tufan Ke In English By Famous Poet Hazin Ludhianvi. Phir Faza Dhundla Gai Aasar Hain Tufan Ke is written by Hazin Ludhianvi. Read famous Poem Phir Faza Dhundla Gai Aasar Hain Tufan Ke for youth and Student by Hazin Ludhianvi. Free Download Phir Faza Dhundla Gai Aasar Hain Tufan Ke in PDF.