Qalb Ko Barf-ashna Na Karo

qalb ko barf-ashna na karo

gul kisi taur ye diya na karo

zindagi bhi hai ek marg-e-dawam

tum jo jine ka haq ada na karo

jis mein phulon pe panw dharna paDe

iKHtiyar aisa rasta na karo

zahr pi jao bankpan ke sath

zahr chakhne ka tajraba na karo

gur sikhae jo jang-bazi ke

aisi danish ko rahnuma na karo

zulm to zalimon ka shewa hai

qahr hai tum jo tajziya na karo

sab KHizan zade kah rahe hain 'hazin'

yan pe zikr-e-gul-o-saba na karo

(897) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qalb Ko Barf-ashna Na Karo In English By Famous Poet Hazin Ludhianvi. Qalb Ko Barf-ashna Na Karo is written by Hazin Ludhianvi. Read famous Poem Qalb Ko Barf-ashna Na Karo for youth and Student by Hazin Ludhianvi. Free Download Qalb Ko Barf-ashna Na Karo in PDF.