Sar-ta-ba-qadam KHun Ka Jab Ghaza Laga Hai

sar-ta-ba-qadam KHun ka jab ghaza laga hai

tab zaKHm ki gahrai ka andaza laga hai

ye raat ka jangal ye KHamoshi ye andhera

patta bhi jo khaDka hai to aawaza laga hai

malum nahin mera khula dasht kahan hai

sahra ka KHala bhi mujhe darwaza laga hai

ehsan ye kuchh kam to nahin gul-badanon ka

jo zaKHm hai sine pe gul-e-taza laga hai

yakja hue yaadon ke umaDte hue paikar

phir muntashir apna mujhe shiraaza laga hai

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar-ta-ba-qadam KHun Ka Jab Ghaza Laga Hai In English By Famous Poet Hazin Ludhianvi. Sar-ta-ba-qadam KHun Ka Jab Ghaza Laga Hai is written by Hazin Ludhianvi. Read famous Poem Sar-ta-ba-qadam KHun Ka Jab Ghaza Laga Hai for youth and Student by Hazin Ludhianvi. Free Download Sar-ta-ba-qadam KHun Ka Jab Ghaza Laga Hai in PDF.