Aarasta Bazm-e-aish Hui Ab Rind Piyenge Khul Khul Ke

aarasta bazm-e-aish hui ab rind piyenge khul khul ke

jhukti hai surahi saghar par naghme hain faza mein qulqul ke

aa tujh ko bana dun rashk-e-chaman mizan-e-mohabbat mein tul ke

aariz ko gulon ki ranai bal zulf ko baKHshun sumbul ke

gulshan mein bahaar aae ki KHizan murjhae kali ya phul khilen

sayyaad tujhe kya matlab hai tu ashk gine ja bulbul ke

hum ahl-e-chaman ki nazron mein kuchh aur hi mana rakhta hai

kaliyon ka chaTak kar khil jaana phulon ka nikharna dhul dhul ke

wo chain to shayad rizwan ko jannat mein kya milta hoga

jo mujh ko sukun mil jata hai sae mein kisi ki kakul ke

ushshaq ke marne jine ko itni hi lagawaT kafi hai

ek choT si tirchhi nazron ke do chaar jhakole kakul ke

kaun us ki fazaon mein aa kar taKHrib ke shoale phunk gaya

aaKHir ye wahi to gulshan hai rahte the jahan hum mil-jul ke

is daur ke pagal insanon nafrat ki farawani kab tak

gar aaj nahin to kal tum ko rahna hi paDega mil-jul ke

gar had se siwa pi loge 'falak' phir hosh kahan mai-KHane ka

do-chaar hi qatre kafi hain pichhe na paDho jam-e-mul ke

(705) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aarasta Bazm-e-aish Hui Ab Rind Piyenge Khul Khul Ke In English By Famous Poet Heera Lal Falak Dehlvi. Aarasta Bazm-e-aish Hui Ab Rind Piyenge Khul Khul Ke is written by Heera Lal Falak Dehlvi. Read famous Poem Aarasta Bazm-e-aish Hui Ab Rind Piyenge Khul Khul Ke for youth and Student by Heera Lal Falak Dehlvi. Free Download Aarasta Bazm-e-aish Hui Ab Rind Piyenge Khul Khul Ke in PDF.