Dil Shadman Ho KHuld Ki Bhi Aarzu Na Ho

dil shadman ho KHuld ki bhi aarzu na ho

gar tu mile KHuda ki mujhe justuju na ho

aankhen tujhe na paen to kuchh bhi na pa saken

gar tu na ho to kuchh bhi mere ru-ba-ru na ho

chubhti hui kahe hai zaban se har ek baat

tu KHub hai jo talKH teri guftugu na ho

uThti nahin nigah bhi ai dil tere sabab

kis se mujhe shikast ho dushman jo tu na ho

mahbub gar mile to mile wo nasib se

lutf-o-karam na ho to sitam ki bhi KHu na ho

har KHub-ru ho shoKH-ada aur wafa-shiar

kis kaam ka hai phul agar rang-o-bu na ho

izzat bhi ek chiz hai duniya mein ai 'falak'

us ghar na ja jahan ki teri aabru na ho

(722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Shadman Ho KHuld Ki Bhi Aarzu Na Ho In English By Famous Poet Heera Lal Falak Dehlvi. Dil Shadman Ho KHuld Ki Bhi Aarzu Na Ho is written by Heera Lal Falak Dehlvi. Read famous Poem Dil Shadman Ho KHuld Ki Bhi Aarzu Na Ho for youth and Student by Heera Lal Falak Dehlvi. Free Download Dil Shadman Ho KHuld Ki Bhi Aarzu Na Ho in PDF.