Ho KHuda Ka Karam Iradon Par

ho KHuda ka karam iradon par

ji rahe hain kisi ke wadon par

zindagi ko bana diya hai chaman

phul barsen tumhaari yaadon par

asliyat kya hai ye KHuda jaane

zinda ab tak hain etiqadon par

pas aa kar gurez karte ho

zulm hai ye meri muradon par

chhin gae taKHt baadshahon ke

tang duniya hai shah-zadon par

mil ke sab amn-o-chain se rahiye

lanten bhejiye fasadon par

ai 'falak' naz hai faqiri mein

mujh ko bosida in libaadon par

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ho KHuda Ka Karam Iradon Par In English By Famous Poet Heera Lal Falak Dehlvi. Ho KHuda Ka Karam Iradon Par is written by Heera Lal Falak Dehlvi. Read famous Poem Ho KHuda Ka Karam Iradon Par for youth and Student by Heera Lal Falak Dehlvi. Free Download Ho KHuda Ka Karam Iradon Par in PDF.