Ku-e-jaanan Mein Ada Dekhiye Diwanon Ki

ku-e-jaanan mein ada dekhiye diwanon ki

dhajjiyan banTte phirte hain garebanon ki

KHak uDti hai faza mein yunhi parwanon ki

kaun leta hai KHabar soKHta-samanon ki

husn kya shai hai faqat zauq-e-nazar ki taskin

ishq kya chiz hai taKHliq hai armanon ki

aap ruKH sail-e-hawadis ka badal deta hai

aasman dekh ke gardish mere paimanon ki

aks gulshan pe bahaaron ka paDa tha lekin

khinch gai phul pe taswir bayabanon ki

aaj sahil pe pahunch kar hi rahegi kashti

aaj Takkar hai mere azm se tufanon ki

hashr ke din wo KHata-waron pe rahmat hogi

aankh khul jaegi jannat ke nigahbanon ki

ibn-e-adam ne 'falak' hosh sambhaala jis dam

sab se pahle rakhi buniyaad sanam-KHanon ki

(773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ku-e-jaanan Mein Ada Dekhiye Diwanon Ki In English By Famous Poet Heera Lal Falak Dehlvi. Ku-e-jaanan Mein Ada Dekhiye Diwanon Ki is written by Heera Lal Falak Dehlvi. Read famous Poem Ku-e-jaanan Mein Ada Dekhiye Diwanon Ki for youth and Student by Heera Lal Falak Dehlvi. Free Download Ku-e-jaanan Mein Ada Dekhiye Diwanon Ki in PDF.