Meri Hasti Mein Meri Zist Mein Shamil Hona

meri hasti mein meri zist mein shamil hona

tujh ko ai husn mubarak ho mera dil hona

KHushk ho jaen jo aankhen to gham-e-furqat kya

chahiye aur bhi tar dida-e-bismil hona

us pe mushkil koi paD jae to aasan ho jae

hausla baKHshe jise kaam ka mushkil hona

la mera jam uTha apni surahi saqi

aaj hai gardish-e-dauran ke muqabil hona

ab kahe jao fasane meri gharqabi ke

mauj-e-tufan ko mere haq mein tha sahil hona

qais laila ki nazar se hi bana tha majnun

us ka achchha hai pas-parda-e-mahmil hona

mast ulfat hon mera nam hai diwana-e-husn

kaam hai hosh mein aana kabhi ghafil hona

kitni ummid se baDhte hain musafir ke qadam

qudrati hai gham-e-nakaami-e-manzil hona

aaj ke daur mein kam baat nahin hai ye 'falak'

ek fan mein kisi insan ka kaamil hona

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Hasti Mein Meri Zist Mein Shamil Hona In English By Famous Poet Heera Lal Falak Dehlvi. Meri Hasti Mein Meri Zist Mein Shamil Hona is written by Heera Lal Falak Dehlvi. Read famous Poem Meri Hasti Mein Meri Zist Mein Shamil Hona for youth and Student by Heera Lal Falak Dehlvi. Free Download Meri Hasti Mein Meri Zist Mein Shamil Hona in PDF.