Rang-amezi Se Paida Kuchh Asar Aisa Hua

rang-amezi se paida kuchh asar aisa hua

KHud musawwir apni hi taswir ka shaida hua

kya nigahon ki tashaffi ho ki bazm-e-dahr mein

samne aata hai har manzar mera dekha hua

khol kar aankhen zara ye husn-e-mahr-o-mah dekh

did ke qabil hai zarra charKH par pahuncha hua

ishq ne is dil ko dam lene ki fursat hi na di

ek jab arman nikla dusra paida hua

barq ke shoalon munasib hai mujhi ko phunk do

kis kaleje se main dekhun aashiyan jalta hua

ek wahi apna KHuda hai ek wahi hai apna but

jis ke dar par sar jhuka dene se sar uncha hua

pahuncho gar ek chand par sau aur aate hain nazar

aasman jaane hai kitni dur tak phaila hua

ab 'falak' hai ek nai duniya ki dil ki justuju

ye zamin dekhi hui hai aasman dekha hua

(624) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rang-amezi Se Paida Kuchh Asar Aisa Hua In English By Famous Poet Heera Lal Falak Dehlvi. Rang-amezi Se Paida Kuchh Asar Aisa Hua is written by Heera Lal Falak Dehlvi. Read famous Poem Rang-amezi Se Paida Kuchh Asar Aisa Hua for youth and Student by Heera Lal Falak Dehlvi. Free Download Rang-amezi Se Paida Kuchh Asar Aisa Hua in PDF.