Sukun-e-dil Ke Liye Aur Qarar-e-jaan Ke Liye

sukun-e-dil ke liye aur qarar-e-jaan ke liye

tumhaara nam hai kafi meri zaban ke liye

jo pur hai jam to kuchh KHauf-e-hadsat nahin

hamare pas bhi bijli hai aasman ke liye

KHmushi-e-rah-e-manzil se ye hua sabit

ki manzilen bhi tarasti hain karwan ke liye

misal-e-shams-o-qamar gardishon mein rahte hain

KHuda ne jin ko banaya hai aasman ke liye

hawas ne KHuld ajal ne chhuDai ye duniya

KHabar nahin meri miTTi hai ab kahan ke liye

shab-e-firaq dua mang kar guzari hai

kabhi asar ke liye aur kabhi fughan ke liye

hamare zehn mein dil mein lahu mein urdu hai

jiyenge aur marenge isi zaban ke liye

pahunch gae sar-e-manzil jo ham-safar the 'falak

hamin taraste rahe gard-e-karwan ke liye

(911) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sukun-e-dil Ke Liye Aur Qarar-e-jaan Ke Liye In English By Famous Poet Heera Lal Falak Dehlvi. Sukun-e-dil Ke Liye Aur Qarar-e-jaan Ke Liye is written by Heera Lal Falak Dehlvi. Read famous Poem Sukun-e-dil Ke Liye Aur Qarar-e-jaan Ke Liye for youth and Student by Heera Lal Falak Dehlvi. Free Download Sukun-e-dil Ke Liye Aur Qarar-e-jaan Ke Liye in PDF.