Taron Se Mahtab Se Aur Kahkashan Se Kya

taron se mahtab se aur kahkashan se kya

mera watan zamin hai mujhe aasman se kya

TukDe jigar ke hon ki Tapakta ho KHun-e-dil

unwan jo tum nahin to tumhein dastan se kya

jina jo jaanta ho taDap kar tere baghair

is ko teri gali se tere aastan se kya

un ka na samna ho usi mein hai aafiyat

kya jaaniye ki nikle hamari zaban se kya

utrega jab KHumar wahi honge ranj-o-gham

dil ko sukun milega mai-e-arghawan se kya

ai dil hai kis liye tujhe aawargi ka shauq

tu bhi bichhaD gaya hai kisi karwan se kya

gham hai shikast ka na KHushi fath ki 'falak'

mujh ko amal se kaam hai sud-o-ziyan se kya

(1030) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taron Se Mahtab Se Aur Kahkashan Se Kya In English By Famous Poet Heera Lal Falak Dehlvi. Taron Se Mahtab Se Aur Kahkashan Se Kya is written by Heera Lal Falak Dehlvi. Read famous Poem Taron Se Mahtab Se Aur Kahkashan Se Kya for youth and Student by Heera Lal Falak Dehlvi. Free Download Taron Se Mahtab Se Aur Kahkashan Se Kya in PDF.