Zamana Dekhta Hai Hans Ke Chashm-e-KHun-fishan Meri

zamana dekhta hai hans ke chashm-e-KHun-fishan meri

magar main KHush hun un ki dastan hai aur zaban meri

akela hun bhari duniya mein main kis ko kahun apna

koi hota to kar deta mukammal dastan meri

guzarta aa raha hun jaane mein kin kin maqamon se

zamin ke baad aaya rahguzar mein aasman meri

main yarab KHak ka putla sahi lekin ye kya kam hai

hui hai muntaKHab hasti barae imtihan meri

fana ki manzilon par KHatm hain rahen anasir ki

yahi ab dekhna hai ruh jati hai kahan meri

na jaane silsila jata kahan tak jism-e-KHaki ka

KHuda ka shukr hai had ban gae kaun-o-makan meri

zara ai azm-e-dil ruKH pher tufan ki hawaon ke

su-e-girdab kashti le chali mauj-e-rawan meri

zaban par le to aaunga magar dil thamna hoga

mujhe malum hai rudad-e-dil hai la-bayan meri

kaDak kar bijliyan rah jaengi chhaT jaenge baadal

rahega zindagi ban kar sukun-e-ashiyan meri

'falak' main sar-zamin-e-'dagh'-o-'ghaalib' ka hun ek zarra

watan hai shahr-e-dehli zindagi urdu zaban meri

(948) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamana Dekhta Hai Hans Ke Chashm-e-KHun-fishan Meri In English By Famous Poet Heera Lal Falak Dehlvi. Zamana Dekhta Hai Hans Ke Chashm-e-KHun-fishan Meri is written by Heera Lal Falak Dehlvi. Read famous Poem Zamana Dekhta Hai Hans Ke Chashm-e-KHun-fishan Meri for youth and Student by Heera Lal Falak Dehlvi. Free Download Zamana Dekhta Hai Hans Ke Chashm-e-KHun-fishan Meri in PDF.