Dil Furqat-e-habib Mein Diwana Ho Gaya

dil furqat-e-habib mein diwana ho gaya

ek mujh se kya jahan se begana ho gaya

qasid ko ye mila mere paigham ka jawab

tu bhi hamari rae mein diwana ho gaya

dekha jo un ko baam pe ghash aa gaya mujhe

taza kalim-o-tur ka afsana ho gaya

han han tumhaare husn ki koi KHata nahin

main husn-e-ittifaq se diwana ho gaya

dekha gaya na bazm mein soz-o-gudaz-e-shama

phulon ki pankhiyan par-e-parwana ho gaya

yun sab se puchhte hain wo mere junun ka haal

diwana ban gaya hai ki diwana ho gaya

aansu bahae furqat-e-saqi mein is qadar

labrez apni umr ka paimana ho gaya

dil un ke bas mein hai mujhe kya dil par iKHtiyar

kaisa rafiq ishq mein begana ho gaya

josh-e-junun mein chhoD diye sab ne apne ghar

aabaad un ke ahd mein virana ho gaya

un ko to apni jalwa-numai se kaam hai

is ki KHabar nahin koi diwana ho gaya

ab har taraf raqib par uThti hain ungliyan

mashhur un ke ishq ka afsana ho gaya

is darja 'hijr' hosh-ruba hai kisi ka husn

jis ki nigah paD gai diwana ho gaya

(977) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Furqat-e-habib Mein Diwana Ho Gaya In English By Famous Poet Hijr Nazim Ali Khan. Dil Furqat-e-habib Mein Diwana Ho Gaya is written by Hijr Nazim Ali Khan. Read famous Poem Dil Furqat-e-habib Mein Diwana Ho Gaya for youth and Student by Hijr Nazim Ali Khan. Free Download Dil Furqat-e-habib Mein Diwana Ho Gaya in PDF.