Mujhe Fareb-e-wafa De Ke Dam Mein Lana Tha

mujhe fareb-e-wafa de ke dam mein lana tha

ye ek chaal thi un ki ye ek bahana tha

na dard tha na KHalish thi na tilmilana tha

kisi ka ishq na tha wo bhi kya zamana tha

khuli jo aankh to sayyaad ke qafas mein khuli

na bagh tha na chaman tha na aashiyana tha

mere nasib mein thi maut is bahane se

kisi ka ishq meri maut ka bahana tha

koi kisi ka nahin is jagah ye mahshar hai

wo din gae ki sitamgar tera zamana tha

tere jamal ko tha koh-e-tur se kya kaam

nigah ban ke meri aankh mein samana tha

KHabar kise thi ki zanu se sar uTha doge

hamin se chuk hui aap mein na aana tha

hazar ranj hain ab ye bhi ek zamana hai

koi malal na tha wo bhi ek zamana tha

payam-bar kahin raste hi se na phir aae

tujhe bhi ai dil-e-betab sath jaana tha

raqib se na kabhi haal-e-dard-e-dil kahte

gharaz ye thi ki unhen is tarah sunana tha

suna kiya koi KHalwat mein raat bhar ai 'hijr'

ajib tarah ka dilkash mera fasana tha

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Fareb-e-wafa De Ke Dam Mein Lana Tha In English By Famous Poet Hijr Nazim Ali Khan. Mujhe Fareb-e-wafa De Ke Dam Mein Lana Tha is written by Hijr Nazim Ali Khan. Read famous Poem Mujhe Fareb-e-wafa De Ke Dam Mein Lana Tha for youth and Student by Hijr Nazim Ali Khan. Free Download Mujhe Fareb-e-wafa De Ke Dam Mein Lana Tha in PDF.