Wo ShoKH Baam Pe Jab Be-naqab Aaega

wo shoKH baam pe jab be-naqab aaega

to mahtab-e-falak ko hijab aaega

KHabar na thi ki miTenge jawan hote hi

ajal ka bhes badal kar shabab aaega

paDega aks jo saqi ki chashm-e-maigun ka

nazar sharab mein jam-e-sharab aaega

hazar haif ki sar nama-bar ka aaya hai

samajh rahe the ki KHat ka jawab aaega

kalim han dil-e-betab ko sambhaale hue

suna hai tur pe wo be-naqab aaega

jo aarzu hai hamari wo kah to den lekin

KHayal ye hai ki tum ko hijab aaega

ye shoKHiyan teri is kam-sini mein ai zalim

qayamat aaegi jis din shabab aaega

kabhi ye fikr ki wo yaad kyun karenge hamein

kabhi KHayal ki KHat ka jawab aaega

chala hai 'hijr' siyahkar bazm-e-jaanan ko

zalil ho ke ye KHana-KHarab aaega

(875) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo ShoKH Baam Pe Jab Be-naqab Aaega In English By Famous Poet Hijr Nazim Ali Khan. Wo ShoKH Baam Pe Jab Be-naqab Aaega is written by Hijr Nazim Ali Khan. Read famous Poem Wo ShoKH Baam Pe Jab Be-naqab Aaega for youth and Student by Hijr Nazim Ali Khan. Free Download Wo ShoKH Baam Pe Jab Be-naqab Aaega in PDF.