Musalman Aur Hindostan
tariKH ba-har daur ulaTti hai waraq aur
mazhab mein hai lekin watniyat ka sabaq aur
tu mard-e-musalman hai to ek baat zara sun
aaghosh-e-tayaqqun se haqiqat ki sada sun
ye sach hai musalman tabahi se ghira hai
ek waswasa-e-la-mutanahi se ghira hai
aalam ki had apne shikanje mein liye hai
ek daur-e-masaib hai ki narghe mein liye hai
aaram hai mafqud sukun pas nahin hai
ab jaise ki jine ki koi aas nahin hai
aafat nigal jaane ko munh khol rahe hain
KHatraat har ek samt baham bol rahe hain
pazmurdagi-o-KHauf ka har ghar mein hai phera
har dil mein hirasani0-e-be-had ka hai Dera
be-rabt hai be-zabt hai be-rah-numa hai
muslim hai ki be-azm hai be-hausla-pa hai
amwaj-e-hawadis mein hai iman-parasti
tufan ki zad par hai musalman ki kashti
ye baat jahan mein hai purani bhi nai bhi
har qaum ko milti hai saza us ke kiye ki
tum aaj magar apnon se munh moD rahe ho
ab sar pe musibat hai to ghar chhoD rahe ho
ye feal musalman ke shayan to nahin hai
ye din nahin mazhab nahin iman to nahin hai
bhaarat ke ba-har-haal wafadar bano tum
namus ke izzat ke nigah-dar bano tum
(5028) Peoples Rate This