Koi Bhi ShaKHs Jo Wahm-o-guman Ki Zad Mein Raha

koi bhi shaKHs jo wahm-o-guman ki zad mein raha

wo ta-hayat azab-e-qubul-o-rad mein raha

KHuda ki zat mein zam ho gaya jahan darwesh

wahan na farq koi kare-nek-o-bad mein raha

wo mohtaram hai jo tasKHir-e-zat ki KHatir

tamam umr laDa aur apni had mein raha

mere hi dam se kahani mein manawiyyat thi

mera shumar magar harf-e-mustarad mein raha

wo har lihaz se na-mo'tabar ikai tha

magar waqar se maujud har adad mein raha

ajal ne zist ke sab masale sameT liye

baDe sukun se wo gosha-e-lahad mein raha

wo main nahin tha koi aur shaKHs tha ai 'soz'

jo mera jism liye mere KHal-o-KHad mein raha

(659) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Bhi ShaKHs Jo Wahm-o-guman Ki Zad Mein Raha In English By Famous Poet Hira Nand Soz. Koi Bhi ShaKHs Jo Wahm-o-guman Ki Zad Mein Raha is written by Hira Nand Soz. Read famous Poem Koi Bhi ShaKHs Jo Wahm-o-guman Ki Zad Mein Raha for youth and Student by Hira Nand Soz. Free Download Koi Bhi ShaKHs Jo Wahm-o-guman Ki Zad Mein Raha in PDF.