Qurban Jaun Husn-e-qamar Intisab Ke

qurban jaun husn-e-qamar intisab ke

aariz hain ya hain phul shagufta gulab ke

ab din kahan rahe wo hamare sabaat ke

ek dhup thi jo sath gai aaftab ke

har ek ada mein us ki hai qaus-e-quzah ka rang

hai guftugu mein kitne hawale kitab ke

haalat ne jhinjhoD ke hoshiyar to kiya

jage hue hain phir bhi to aasar KHwab ke

phaila chuke hain firqa-parasti ka zahr wo

aae hain samne jo adad intiKHab ke

goli se hal na honge mohabbat se honge hal

qaziye hon kashmir ke ya panj-ab ke

nikli saron ki fasl hai gobhi ke khet se

khilte jahan ye phul the kal tak gulab ke

pir-e-mughan se 'faKHr' yahi ek sawal hai

aundhe hain aaj jam-o-subu kyun sharab ke

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qurban Jaun Husn-e-qamar Intisab Ke In English By Famous Poet Iftikhar Ahmad Fakhr. Qurban Jaun Husn-e-qamar Intisab Ke is written by Iftikhar Ahmad Fakhr. Read famous Poem Qurban Jaun Husn-e-qamar Intisab Ke for youth and Student by Iftikhar Ahmad Fakhr. Free Download Qurban Jaun Husn-e-qamar Intisab Ke in PDF.