Ye Tera Bankpan Ye Ranai

ye tera bankpan ye ranai

rashk-e-mahtab teri zebai

husn tera ajab karishma hai

ek aalam bana tamashai

yaad aaya mujhe badan tera

dur qaus-e-quzah jo lahrai

jab se sham-e-wafa jalai hai

anjuman ban gai hai tanhai

yun guzarte hain dekh kar mujh ko

jaise mujh se nahin shanasai

dip yaadon ke jal hi jate hain

chheD deti hai jab bhi purwai

nashtar-e-gham na jis ko ras aaya

zist us ko kabhi na ras aai

ek ru-e-hasin nazar aaya

ab charaghon mein raushni aai

ishq ki KHud-supurdagi dekhi

KHud tamasha bana tamashai

(702) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Tera Bankpan Ye Ranai In English By Famous Poet Iftikhar Jameel Shaheen. Ye Tera Bankpan Ye Ranai is written by Iftikhar Jameel Shaheen. Read famous Poem Ye Tera Bankpan Ye Ranai for youth and Student by Iftikhar Jameel Shaheen. Free Download Ye Tera Bankpan Ye Ranai in PDF.