Us Ka Badan Bhi Chahiye Aur Dil Bhi Chahiye

us ka badan bhi chahiye aur dil bhi chahiye

surKHi-e-lab bhi gal ka wo til bhi chahiye

ye karobar-e-shauq hai be-gar to nahin

is karobar-e-shauq ka hasil bhi chahiye

pani aur aag ek jagah chahiyen hamein

jo shaKH gul-ba-dast ho qatil bhi chahiye

sab ko KHabar to ho ki wo mera hai bas mera

pahlu mein yar barsar-e-mahfil bhi chahiye

pa kar charagh-e-dil ki hawas aur baDh gai

mausuf ko ab ek mah-e-kaamil bhi chahiye

yun be-kanar aarzuon se wasul kya

KHwahish ko ek samt bhi sahil bhi chahiye

zholida-mu o chaak-gareban sab ahl-e-dil

koi to is qabile mein aaqil bhi chahiye

apni alag shanaKHt bhi 'imrran' ho zarur

wo shaKHs apni zist mein shamil bhi chahiye

(1122) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Ka Badan Bhi Chahiye Aur Dil Bhi Chahiye In English By Famous Poet Imran-ul-haq Chauhan. Us Ka Badan Bhi Chahiye Aur Dil Bhi Chahiye is written by Imran-ul-haq Chauhan. Read famous Poem Us Ka Badan Bhi Chahiye Aur Dil Bhi Chahiye for youth and Student by Imran-ul-haq Chauhan. Free Download Us Ka Badan Bhi Chahiye Aur Dil Bhi Chahiye in PDF.