Likkhenge Na Is Haar Ke Asbab Kahan Tak

likkhenge na is haar ke asbab kahan tak

rakkhenge mera dil mere ahbab kahan tak

girti hui diwar ke sae mein paDa hun

shal honge na aaKHir mere aasab kahan tak

hasrat hai ki tabir ke sahil pe bhi utrun

dekhunga yunhi roz nae KHwab kahan tak

aawaz se aari hain jo TuTi hui taren

kaam aaegi is haal mein mizrab kahan tak

wo abr ka TukDa hai magar dekhna ye hai

hoti hain nigahen meri sairab kahan tak

kuchh dur kinare ke manazir to hain lekin

jaega ye dariya yunhi payab kahan tak

Darta hun kahin zabt ka pal bit na jae

shoalon ko chhupaunga tah-e-ab kahan tak

(1283) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Likkhenge Na Is Haar Ke Asbab Kahan Tak In English By Famous Poet Inam-ul-Haq Javed. Likkhenge Na Is Haar Ke Asbab Kahan Tak is written by Inam-ul-Haq Javed. Read famous Poem Likkhenge Na Is Haar Ke Asbab Kahan Tak for youth and Student by Inam-ul-Haq Javed. Free Download Likkhenge Na Is Haar Ke Asbab Kahan Tak in PDF.