Wo Ek ShaKHs Ki Bais Mere Zawal Ka Tha

wo ek shaKHs ki bais mere zawal ka tha

zamin se milta hua rang us ke jal ka tha

dil o nigah mein jhagDa bhi munfarid tha magar

jo faisla hua wo bhi baDe kamal ka tha

main jaan dene ka dawa wahan pe kya karta

jo masala use darpesh tha misal ka tha

main chahta tha ki wo KHud-baKHud samajh jae

taqaza us ki taraf se magar sawal ka tha

ye aur baat ki bazi isi ke hath rahi

wagarna farq to le de ke ek chaal ka tha

tamam umr ganwa di jise bhulane mein

wo nisf mazi ka qissa tha nisf haal ka tha

main pahle zaKHm pe chaunka tha dard se lekin

phir us ke baad kise hosh indimal ka tha

(1588) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Ek ShaKHs Ki Bais Mere Zawal Ka Tha In English By Famous Poet Inam-ul-Haq Javed. Wo Ek ShaKHs Ki Bais Mere Zawal Ka Tha is written by Inam-ul-Haq Javed. Read famous Poem Wo Ek ShaKHs Ki Bais Mere Zawal Ka Tha for youth and Student by Inam-ul-Haq Javed. Free Download Wo Ek ShaKHs Ki Bais Mere Zawal Ka Tha in PDF.