Dekhna Jab Mujhe Kar Shan Ye Gali Dena

dekhna jab mujhe kar shan ye gali dena

kis se tum sikhe ho har aan ye gali dena

iKHtilat aap se aur mujh se kahan ka aisa

wah ji jaan na pahchan ye gali dena

ab to nadan ho suna chaho so pyare kah lo

par tumhein howega nuqsan ye gali dena

aaKHirash hogi jo un par to kise bhawega

chand roz aur hi mehman ye gali dena

tohmat-e-bosa abas deti ho manzur jo ho

kar ke be-faeda bohtan ye gali dena

dijiye dijiye hai ain saadat apni

aashiqon par to hai ehsan ye gali dena

tere ghussa se jo 'insha' ho KHafa nahaq hai

han tujhe chahiye nadan ye gali dena

(1745) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Dekhna Jab Mujhe Kar Shan Ye Gali Dena In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Dekhna Jab Mujhe Kar Shan Ye Gali Dena is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Dekhna Jab Mujhe Kar Shan Ye Gali Dena for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Dekhna Jab Mujhe Kar Shan Ye Gali Dena in PDF.