Dhum Itni Tere Diwane Macha Sakte Hain

dhum itni tere diwane macha sakte hain

ki abhi arsh ko chahen to hila sakte hain

mujh se aghyar koi aankh mila sakte hain

munh to dekho wo mere samne aa sakte hain

yan wo aatish-e-nafasan hain ki bharen aah to jhaT

aag daman-e-shafaq ko bhi laga sakte hain

sochiye to sahi haT-dharmi na kije sahab

chuTkiyon mein mujhe kab aap uDa sakte hain

hazrat-e-dil to bigaD aae hain is se lekin

ab bhi hum chahen to phir baat bana sakte hain

shaiKHi itni na kar ai shaiKH ki rindan-e-jahan

ungliyon par tujhe chahen to nacha sakte hain

tu giroh-e-fuqara ko na samajh be-jabrut

zat-e-maula mein yahi log sama sakte hain

dam zara sadh ke lete hain phareri to abhi

sun khinchi hui lahut ko ja sakte hain

garche hain munis-o-gham-KHwar tag-o-dau mein sahi

par teri taba ko kab rah pe la sakte hain

chaarasaz apne to masruf-e-badal hain lekin

koi taqdir ke likkhe ko miTa sakte hain

hai mohabbat jo tere dil mein wo ek taur pe hai

hum ghaTa sakte hain is ko na baDha sakte hain

kar ke jhuTa na diya jam agar tu ne to chal

mare ghairat ke hum afyun to kha sakte hain

ham-nashin tu jo ye kahta hai ki qadghan hai bahut

ab wo aawaz bhi kab tujh ko suna sakte hain

ai na aawaz sunawen mujhe dar tak aa kar

apne panw ke kaDon ko to baja sakte hain

hum to hanste nahin par aap ke hansne ke liye

aur agar sang nahin koi bana sakte hain

kali kaghaz ki abhi ek katar kar becha

zahid-e-bazm ke munh par to laga sakte hain

ghar se bahar tumhein aana hai agar mana to aap

apne koThe pe kabutar to uDa sakte hain

jhulte hain ye jo jholi mein so kahte hain mujhe

ek wade pe tujhe barson jhula sakte hain

ek Dhab ke jo qawafi hain hum un mein 'insha'

ek ghazal aur bhi chahen to suna sakte hain

(967) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhum Itni Tere Diwane Macha Sakte Hain In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Dhum Itni Tere Diwane Macha Sakte Hain is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Dhum Itni Tere Diwane Macha Sakte Hain for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Dhum Itni Tere Diwane Macha Sakte Hain in PDF.