Gahe Gahe Jo Idhar Aap Karam Karte Hain

gahe gahe jo idhar aap karam karte hain

wo hain uTh jate hain ye aur sitam karte hain

ji na lag jae kahin tujh se isi waste bas

rafta rafta tere hum milne ko kam karte hain

waqai yun to zara dekhiyo subhan-allah

tere dikhlane ko hum chashm ye nam karte hain

ishq mein sharm kahan naseh-e-mushfiq ye baja

aap ko kya hai jo is baat ka gham karte hain

galiyan khane ko us shoKH se milte hain han

koi karta nahin jo kaam so hum karte hain

hain talabgar mohabbat ke miyan jo ashKHas

wo bhala kab talab-e-dam-o-diram karte hain

ain masti mein hamein did-e-fana hai 'insha'

aankh jab mundte hain sair-e-adam karte hain

(968) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gahe Gahe Jo Idhar Aap Karam Karte Hain In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Gahe Gahe Jo Idhar Aap Karam Karte Hain is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Gahe Gahe Jo Idhar Aap Karam Karte Hain for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Gahe Gahe Jo Idhar Aap Karam Karte Hain in PDF.