Gali Sahi Ada Sahi Chin-e-jabin Sahi

gali sahi ada sahi chin-e-jabin sahi

ye sab sahi par ek nahin ki nahin sahi

marna mera jo chahe to lag ja gale se Tuk

aTka hai dam mera ye dam-e-wapsin sahi

gar naznin ke kahne se mana bura ho kuchh

meri taraf ko dekhiye main naznin sahi

kuchh paD gaya hai aankh mein rona kahe hai tu

kyun main abas ko bahsun yahi dil-nashin sahi

aage baDhe jo jate ho kyun kaun hai yahan

jo baat hum ko kahni hai tum se yahin sahi

manzur dosti jo tumhein hai har ek se

achchha to kya muzaeqa 'insha' se kin sahi

(765) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gali Sahi Ada Sahi Chin-e-jabin Sahi In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Gali Sahi Ada Sahi Chin-e-jabin Sahi is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Gali Sahi Ada Sahi Chin-e-jabin Sahi for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Gali Sahi Ada Sahi Chin-e-jabin Sahi in PDF.