Gali Se Teri Jo Tuk Ho Ke Aadmi Nikle

gali se teri jo Tuk ho ke aadmi nikle

to us ke saya se jhaT ban ke ek pari nikle

KHayal mein tere chehre ki mar gaya ho jo shaKHs

to us ki KHak se sone ki aarsi nikle

baid shan se aashiq ke aah bharni thi

wali wo kya kare jab us ki jaan hi nikle

kisi ke hosh ko kah do agar chala chahe

to apne ghar se kamar bandh kar abhi nikle

nishan-e-ah liye chhanw chhanw taron ke

chalegi fauj-e-sarishk aaj chandni nikle

kaji tabiat-e-kaj-fahm se ho tab munfak

kisi dawa se dum-e-sag ke gar kaji nikle

hazar shukr ki 'insha' kisi ki mahfil mein

KHafa se aae the par ho hansi-KHushi nikle

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gali Se Teri Jo Tuk Ho Ke Aadmi Nikle In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Gali Se Teri Jo Tuk Ho Ke Aadmi Nikle is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Gali Se Teri Jo Tuk Ho Ke Aadmi Nikle for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Gali Se Teri Jo Tuk Ho Ke Aadmi Nikle in PDF.