Hai Jis Mein Qufl-e-KHana-e-KHummar ToDiye

hai jis mein qufl-e-KHana-e-KHummar toDiye

yani dar-e-bahisht ko yakbar toDiye

kyun qaid-e-KHum mein duKHtar-e-raz hi paDi rahe

ye mohr-e-resman-e-sarokar toDiye

shagird amir-hamza-e-sahib-qiran ke hain

kyunkar bhala na qila-e-ashrar toDiye

kije laqa-e-baKHtar-e-be-baqa ko qaid

najtak ke sar pe gurz-e-garan-bar toDiye

choTi pakaD ke nargis-e-jadu ki khinchiye

kalle ko us ke mariye lalkar toDiye

rustam se chhin lijiye dew-e-safed ko

aur is ki dah maroD ke talwar toDiye

sadd-e-sikandari bhi jo chaDh jae dhyan to

wohin tufail-e-haidar-e-karrar toDiye

aa jawen haft-KHwan-e-tilismat samne

to KHair se unhen bhi ba-takrar toDiye

hisn-e-zamurradain-e-adu koh-e-qaf par

howe to us ko bhej ke ayyar toDiye

zambil hai amar ki dil-e-fikr-KHez ye

is ko kisi tarah se na zinhaar toDiye

hai azm-jazm ye ki zabardasti aaj to

band-e-qaba hai mausam-e-gulzar toDiye

ya chheDne ko abr ke ek jhaTka mar kar

shalwar-band barq-e-sharar-bar toDiye

ji chahta hai le ke balaen tumhaari aaj

poren in ungliyon ko sab ai yar toDiye

'insha' dikha ke aur bhi ek jalwa-e-ghazal

band-e-naqab-e-shahid-e-asrar toDiye

(1140) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Jis Mein Qufl-e-KHana-e-KHummar ToDiye In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Hai Jis Mein Qufl-e-KHana-e-KHummar ToDiye is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Hai Jis Mein Qufl-e-KHana-e-KHummar ToDiye for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Hai Jis Mein Qufl-e-KHana-e-KHummar ToDiye in PDF.