Hazrat-e-ishq Idhar Kije Karam Ya Mabud

hazrat-e-ishq idhar kije karam ya mabud

baal-gopal hain yan aap ke hum ya mabud

banda-KHana mein aji laiye tashrif-e-sharif

aa ke rakh dije in aaankhon pe qadam ya mabud

nafi isbaat ki shaghil jo qalandar hain so wo

apni gardan ko nahin karte hain KHam ya mabud

apne data ki haqiqat ke hain jalwa tum mein

lama-e-nur-e-tajalli ki qasam ya mabud

jald phaTkariye sabze ke nashe ko koDa

khinchiye aur koi sulfe ka dam ya mabud

aap hi aap hain wo aap ne sach farmaya

yun bhi kuchh dhoke se the nam ko hum ya mabud

warna ye aariyatan hai jo wajud apna so

guzaran wo to hai jun mauja-e-yam ya mabud

waqai bolne se apne laDa baiThe jo aankh

kyun KHudi se na kare pher wo rum ya mabud

aankh ko kahte arab ain hain so ain agar

dam par aa jae to ho ain-e-adam ya mabud

raat tiryak nasha ne to ulaT Dala wah

koi ghola to wo tha kasa-e-sam ya mabud

sidra tak aan to pahuncha hun dili qasd hai ye

ki baDhun aur bhi do-chaar qadam ya mabud

chaar zanu ho ab 'insha' bhi zamin se uncha

yak wa jab rahne laga sada ki dam ya mabud

(1189) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hazrat-e-ishq Idhar Kije Karam Ya Mabud In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Hazrat-e-ishq Idhar Kije Karam Ya Mabud is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Hazrat-e-ishq Idhar Kije Karam Ya Mabud for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Hazrat-e-ishq Idhar Kije Karam Ya Mabud in PDF.