Jab Tak Ki KHub Waqif-e-raaz-e-nihan Na Hun

jab tak ki KHub waqif-e-raaz-e-nihan na hun

main to suKHan mein ishq ke bolun na han na hun

KHalwat mein teri bar na jalwat mein mujh ko hae

baaten jo dil mein bhar rahi hain so kahan kahun

gahe jo us ki yaad se ghafil ho ek dam

mujh ko dahan mein apne lagi hai zaban zubun

shatt-e-amiq-e-ishq ko ye chahta hun main

abr-e-mizha se ro ke use be-karan karun

tufan-e-nuh aankh na hum se mila sake

aati nazar hain chashm se har pal ayan uyun

naseh KHayal-e-KHam se kya is se faeda

kab mere dil se ho hawas-e-dil-baran barun

ye iKHtilat kijiye mauquf naseha

maqul yani dil use ai qadr-dan na dun

'insha' karun jo pairwi-e-shaiKH-o-barhaman

main bhi unhon ki tarah se jun gumrahan rahun

KHalwat-sara-e-dil mein hai ho kar ke moatakif

baiTha hun kya gharaz kahin ai jahilan hilun

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Tak Ki KHub Waqif-e-raaz-e-nihan Na Hun In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Jab Tak Ki KHub Waqif-e-raaz-e-nihan Na Hun is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Jab Tak Ki KHub Waqif-e-raaz-e-nihan Na Hun for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Jab Tak Ki KHub Waqif-e-raaz-e-nihan Na Hun in PDF.