JaDe Mein Kya Maza Ho Wo To SimaT Rahe Hon

jaDe mein kya maza ho wo to simaT rahe hon

aur khol kar razai hum bhi lipaT rahe hon

ab aap ki damon mein hum aa chuke haTo bhi

KHush aawe pyare kis ko jab dil hi kaT rahe hon

kyunkar zaban se un ki apna bachaw howe

zat-o-sifat sab ke jab wo ukaT rahe hon

aate the sath mere dekho to kya hue wo

aisa na ho ki pichhe rishte mein kaT rahe hon

tab sair dekhe koi baham laDaiyon ke

khinche hon wo to tegha aur hum bhi DaT rahe hon

kya kar saken diwane haal-e-dil-e-pareshan

zulfon ke baal un ke jab aap laT rahe hon

aapas mein ruThne ka andaz ho to ye ho

wo hum se phaT rahe hon hum un se phaT rahe hon

ji chahta hai ai dil ek aisi raat aawe

matla ho saf shahra baadal bhi phaT rahe hon

sote hon chandni mein wo munh lapeTe aur hum

shabnam ka wo dupaTTa paTThe ulaT rahe hon

panjam ghazal ab 'insha' andaz ki suna di

aaghosh mein maani jis ke lipaT rahe hon

(890) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

JaDe Mein Kya Maza Ho Wo To SimaT Rahe Hon In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. JaDe Mein Kya Maza Ho Wo To SimaT Rahe Hon is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem JaDe Mein Kya Maza Ho Wo To SimaT Rahe Hon for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download JaDe Mein Kya Maza Ho Wo To SimaT Rahe Hon in PDF.