Kamar Bandhe Hue Chalne Ko Yan Sab Yar BaiThe Hain

kamar bandhe hue chalne ko yan sab yar baiThe hain

bahut aage gae baqi jo hain tayyar baiThe hain

na chheD ai nikhat-e-baad-e-bahaari rah lag apni

tujhe aTkheliyan sujhi hain hum be-zar baiThe hain

KHayal un ka pare hai arsh-e-azam se kahin saqi

gharaz kuchh aur dhun mein is ghaDi mai-KHwar baiThe hain

basan-e-naqsh-e-pa-e-rah-rawan ku-e-tamanna mein

nahin uThne ki taqat kya karen lachaar baiThe hain

ye apni chaal hai uftadgi se in dinon pahron

nazar aaya jahan par saya-e-diwar baiThe hain

kahen hain sabr kis ko aah nang o nam hai kya shai

gharaz ro piT kar un sab ko hum yak bar baiThe hain

kahin bose ki mat jurat dila kar baiThiyo un se

abhi is had ko wo kaifi nahin hushyar baiThe hain

najibon ka ajab kuchh haal hai is daur mein yaro

jise puchho yahi kahte hain hum bekar baiThe hain

nai ye waza sharmane ki sikhi aaj hai tum ne

hamare pas sahab warna yun sau bar baiThe hain

kahan gardish falak ki chain deti hai suna 'insha'

ghanimat hai ki hum surat yahan do-chaar baiThe hain

(1351) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kamar Bandhe Hue Chalne Ko Yan Sab Yar BaiThe Hain In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Kamar Bandhe Hue Chalne Ko Yan Sab Yar BaiThe Hain is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Kamar Bandhe Hue Chalne Ko Yan Sab Yar BaiThe Hain for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Kamar Bandhe Hue Chalne Ko Yan Sab Yar BaiThe Hain in PDF.