Kinaya Aur Dhab Ka Is Meri Majlis Mein Kam Kije

kinaya aur Dhab ka is meri majlis mein kam kije

aji sab taD jawenge na aisa to sitam kije

tumhaare waste sahra-nashin hun ek muddat se

basan-e-ahu-e-wahshi na mujh se aap ram kije

mahaarajon ke raja ai junun DanDwat hai tum ko

yahi ab dil mein aata hai koi pothi raqam kije

gale mein Dal kar zunnar qashqa khinch mathe par

barahman baniye aur tauf-e-dar-e-bait-us-sanam kije

kahin dil ki lagawaT ko jo yun sujhe ki tak ja kar

qadimi yar se apne bhi KHalta koi dam kijiye

tu ungli kaT danton mein phula nathune ruhandi ho

laga kahne bas ab mere buDhape par karam kije

phaDakta aaj bhi hum ko na parson ki tarah rakhiye

KHuda ke waste kuchh yaad wo agli qasam kije

malang aapas mein kahte the ki zahid kuchh jo bole to

ishaara us ko jhaT su-e-nar-angusht-e-shikam kije

kabhi KHat bhi na likh pahuncha paDhaya aap ko kis ne

ki alqat dosti 'insha' se aisi yak-qalam kijiye

(982) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kinaya Aur Dhab Ka Is Meri Majlis Mein Kam Kije In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Kinaya Aur Dhab Ka Is Meri Majlis Mein Kam Kije is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Kinaya Aur Dhab Ka Is Meri Majlis Mein Kam Kije for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Kinaya Aur Dhab Ka Is Meri Majlis Mein Kam Kije in PDF.