Mujhe Kyun Na Aawe Saqi Nazar Aaftab UlTa

mujhe kyun na aawe saqi nazar aaftab ulTa

ki paDa hai aaj KHum mein qadah-e-sharab ulTa

ajab ulTe mulk ke hain aji aap bhi ki tum se

kabhi baat ki jo sidhi to mila jawab ulTa

chale the haram ko rah mein hue ek sanam ke aashiq

na hua sawab hasil ye mila azab ulTa

ye shab-e-guzishta dekha wo KHafa se kuchh hain goya

kahen haq kare ki howe ye hamara KHwab ulTa

abhi jhaD laga de barish koi mast baDh ke nara

jo zamin pe phenk mare qadah-e-sharab ulTa

ye ajib majra hai ki ba-roz-e-id-e-qurban

wahi zabh bhi kare hai wahi le sawab ulTa

yunhi wada par jo chhuTe to nahin milate tewar

ai lo aur bhi tamasha ye suno jawab ulTa

khaDe chup ho dekhte kya mere dil ujaD gae ko

wo gunah to kah do jis se ye hai wo KHarab ulTa

ghazal aur qafiyon mein na kahi so kyunki 'insha'

ki hawa ne KHud-baKHud aa waraq-e-kitab ulTa

(1535) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Kyun Na Aawe Saqi Nazar Aaftab UlTa In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Mujhe Kyun Na Aawe Saqi Nazar Aaftab UlTa is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Mujhe Kyun Na Aawe Saqi Nazar Aaftab UlTa for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Mujhe Kyun Na Aawe Saqi Nazar Aaftab UlTa in PDF.