Nind Maston Ko Kahan Aur Kidhar Ka Takiya

nind maston ko kahan aur kidhar ka takiya

KHisht-e-KHum-KHana hai yan apne to sar ka takiya

laKHt-e-dil aa ke musafir se Thaharte hain yahan

chashm hai hum se gadaon ki guzar ka takiya

jis taraf aankh uTha dekhiye ho jae asar

hum to rakhte hain faqat apni nazar ka takiya

chain hargiz nahin maKHmal ke use takiye par

us pari ke liye ho hur ke par ka takiya

hath apne ke siwa aur to kya ho haihat

walih o dar-ba-dar o KHak-basar ka takiya

sar to chahe hai mera howe mayassar tere

hath ka bazu ka zanu ka kamar ka takiya

ye to hasil hai kahan bhej de lekin mujh ko

jis mein baalon ki ho bu tere ho sar ka takiya

tikhe-pan ke tere qurban akaD ke sadqe

kya hi baiTha hai laga kar ke sipar ka takiya

garche hum saKHt gunahgar hain lekin wallah

dil mein jo Dar hai hamein hai usi Dar ka takiya

girya o aah-o-fughan nala o ya rab fariyaad

sab ko hai har shab-o-roz apne asar ka takiya

rind o aazad hue chhoD ilaqa sab ka

DhunDhte kab hain pidar aur pisar ka takiya

gar bharosa hai hamein ab to bharosa tera

aur takiya hai agar tere hi dar ka takiya

shauq se soiye sar rakh ke mere zanu par

us ko mat samajhiye kuchh KHauf-o-KHatar ka takiya

jab talak aap na jagenge rahega yun hi

sarkega tab hi ki jab kahiyega sarka takiya

lutf-e-izadi hi se ummid hai insha-allah

kuchh nahin rakhte hain hum fazl o hunar ka takiya

(970) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nind Maston Ko Kahan Aur Kidhar Ka Takiya In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Nind Maston Ko Kahan Aur Kidhar Ka Takiya is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Nind Maston Ko Kahan Aur Kidhar Ka Takiya for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Nind Maston Ko Kahan Aur Kidhar Ka Takiya in PDF.