Phabti Tere MukhDe Pe Mujhe Hur Ki Sujhi

phabti tere mukhDe pe mujhe hur ki sujhi

la hath idhar de ki bahut dur ki sujhi

Tuk dekhiyega jubba-o-ammama-e-zahid

hai us pe mujhe balam-e-baur ki sujhi

kyun main dil-e-pur-abla par tak na bandhun

hai is pe mujhe KHosha-e-angur ki sujhi

hai shaiKH-e-siyah-chehra jo majlis mein phudakta

yaron ko yahan rui ke langur ki sujhi

waiz jo paDha jin mutabaKHtir hai nihayat

us par mujhe shaitan ki hai pur ki sujhi

hath apne se jab chhuT gai is DanD ki machhli

tab us ke taDapne pe saqanqur ki sujhi

han ai shafaq-e-subh teri dekh ke rangat

shanjarf ki sujhi mujhe kafur ki sujhi

jab phul jhaDe nur ke is aah se meri

is par mujhe 'insha' shajar-e-tur ki sujhi

(901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phabti Tere MukhDe Pe Mujhe Hur Ki Sujhi In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Phabti Tere MukhDe Pe Mujhe Hur Ki Sujhi is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Phabti Tere MukhDe Pe Mujhe Hur Ki Sujhi for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Phabti Tere MukhDe Pe Mujhe Hur Ki Sujhi in PDF.