Tab Se Aashiq Hain Hum Ai Tifl-e-pari-wash Tere

tab se aashiq hain hum ai tifl-e-pari-wash tere

jab se maktab mein tu kahta tha alif be te se

yaad aata hai wo harfon ka uThana ab tak

jim ke peT mein ek nukta hai aur KHali he

he ki par shakl hawasil ki si aati hai nazar

nuqta is par jo laga KHe hua ye wah be KHe

dal bhi chhoTi bahan us ki hai jun aatuje

ek parkala sa beTa bhi hai ghar mein un ke

re bhi KHali hai aur ze pe hai wo nukta ek

ki mushabah hai jo til se meri ruKHsare ke

scene KHali hai baDi shin pe hain nuqta tin

sad aur zad mein bas farq hai ek nuqte se

toe bin turra hai aur zoe par ek nuqta phir

ain be-aib hai aur kane miyan ghain hue

fe pe ek nuqta hai aur qaf pe hain nuqta do

kaf bhi KHali hai aur lam bhi KHali, ye le

mim bhi yun hi hai aur nun ke andar nuqta

muflisa beg hai ye waw bhi aur chhoTi he

kya KHalifa ji ye hai hai hai nahin se nikle

aage chhuTTi do ai lo lam alif hamza ye

galiyan teri hi sunta hai ab 'insha' warna

kis ki taqat hai alif se jo kahe us ko be

(1295) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tab Se Aashiq Hain Hum Ai Tifl-e-pari-wash Tere In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Tab Se Aashiq Hain Hum Ai Tifl-e-pari-wash Tere is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Tab Se Aashiq Hain Hum Ai Tifl-e-pari-wash Tere for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Tab Se Aashiq Hain Hum Ai Tifl-e-pari-wash Tere in PDF.