ToDunga KHum-e-baada-e-angur Ki Gardan

toDunga KHum-e-baada-e-angur ki gardan

rakh dunga wahan kaT ke ek hur ki gardan

KHuddar ki ban shakl alif hae anal-haq

nit chahti hain ek nai mansur ki gardan

kyun saqi-e-KHurshid-e-jabin kya hai nasha hun

sab yunhi chaDha jaun mai-e-nur ki gardan

uchhli hui warzish se tari DanD pe machhli

hai nam-e-KHuda jaisi saqanqur ki gardan

tha shaKHs jo gardan-zadani us se ye bole

ab dijiye hai deni jo manzur ki gardan

aaine ki gar sair kare shaiKH ye dekhe

sar KHurs ka munh KHuk ka langur ki gardan

yun panja-e-mizhgan mein paDa hai ye mara dil

jun changul-e-shahbaz mein usfur ki gardan

tab aalam-e-masti ka maza hai ki paDi ho

gardan pe meri us but-e-maKHmur ki gardan

baiTha ho jahan pas sulaiman ke aasif

wan kyun na jhuki qaisar o faghfur ki gardan

bhenchi hai baghal apni main is zor se jo ishq

to toDne par hai kisi majbur ki gardan

ai mast ye kya qahr hai KHisht-e-sar-e-KHum se

kyun tu ne surahi ki bhala chur ki gardan

mahfil mein tari shama bani mom ki maryam

pighli paDi hai us ki wo kafur ki gardan

ai dew-e-safed-e-sahari kash tu toDe

ek mukke se KHur ke shab-e-dijur ki gardan

jab kushta-e-ulfat ko uThaya to alam se

bas hil gai us qatil-e-maghrur ki gardan

be-saKHta bola ki are hath to Tuk do

Dhalke na mere aashiq-e-maghfur ki gardan

hasid to hai kya chiz kare qasd jo 'insha'

tu toD de jhaT balgham-e-baur ki gardan

(1401) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ToDunga KHum-e-baada-e-angur Ki Gardan In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. ToDunga KHum-e-baada-e-angur Ki Gardan is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem ToDunga KHum-e-baada-e-angur Ki Gardan for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download ToDunga KHum-e-baada-e-angur Ki Gardan in PDF.